Tuesday, November 10, 2015

Tune Kiya

Mujhse kabhi na ho pata Jo tune kiya..
Mere liye sari duniya se ladi tu,
Dewar ban kar rahi humesha khadi tu..
Mujh tak na kisi dard ko aane diya..
Mujhse kabhi na ho paata Jo tune kiya…
Jaane kitne toofan aaye
Magar tu zara bhi hili nahi..
Sach kehta hu Teri Qasam...
Tujh jaisi koi mili nahi..
Apne haatho se tune,
Mera hath kabhi na chhutne diya..
Mujhse kabhi na ho paata Jo tune kiya..
Pyar kya hota hai mujhko,
Aakhir tune samjha diya..
Sab kuch sehna uff na karna,
Ye bhi tune bata diya..
Hazaar bar khud ko markar
Tune Mujhko jeene diya..
Mujhse kabhi na ho pata Jo tune kiya…

No comments:

Post a Comment