Hum Sirf Achhe Dost Hain
Kuch Aisi Bhi Hoti Hai
"Adhuri Muhabatein"
-----------------------------------
हम सिर्फ अच्छे दोस्त हैं
कुछ ऐसी भी होती है
"अधूरी मुहब्बतें"
Hum Sirf Achhe Dost Hain
Kuch Aisi Bhi Hoti Hai
"Adhuri Muhabatein"
-----------------------------------
हम सिर्फ अच्छे दोस्त हैं
कुछ ऐसी भी होती है
"अधूरी मुहब्बतें"
Tu Sabar Rakh
Dooriyon Ka Malaal Use Bhi Hoga
Jab Tu Kisi or Ka Hoga
To Muhabbat Ka Ehsaas Use Bhi Hoga
----------------------------------------------------------
तू सबर रख
दूरियों का मलाल उसे भी होगा
जब तू किसी और का होगा
तो मुहब्बत का एहसास उसे भी होगा
Maine Usko Itna Dekha Jitna Dekha Ja Sakta Tha
Lekin Fir Bhi Do Aakhon Se Kitna Dekha Ja Sakta Tha
--------------------------------------------------------------------------
मैंने उसको इतना देखा, जितना देखा जा सकता था
लेकिन फिर भी दो आँखों से कितना देखा जा सकता था
Bichadkar Uska Dil Lag Bhi Gaya To Kya Lagega
Wo Thak Jayega Or Mere Gale Se Aa Lagega
Main Mushkil Main Tumhare Kaam Aaun Ya Na Aaun
Mujhe Aawaz De Lena Tumhe Achha Lagega
-----------------------------------------------------------------------------
बिछड़कर उसका दिल लग भी गया तो क्या लगेगा
वो थक जाएगा और मेरे गले से आ लगेगा
मैं मुश्किल में तुम्हारे काम आऊँ या ना आऊँ
मुझे आवाज़ दे लेना तुम्हे अच्छा लगेगा
Suno
Dekho
Hum Koi Wehshi Nahi Deewane Hain
Tumse Button Khulwane Nahi Lagwane Hain
देखो हम कोई वहशी नहीं दीवाने हैं
तुमसे बटन खुलवाने नहीं, लगवाने हैं
Gale Milna Na Milna To Teri Marzi Hai Lekin
Tere Chehre Se Lagta Hai Tera Dil Kar Raha Hai...
-------------------------------------------------------------
गले मिलना ना मिलना तो तेरी मर्ज़ी है लेकिन
तेरे चेहरे से लगता है तेरा दिल कर रहा है
Dastaan Hun Main Ek Taweel Magar
Tu Jo Sun Le To Mukhtasar Bhi Hun Main...
----------------------------------------------------------------
दास्ताँ हूँ मैं इक तवील मगर
तू जो सुन ले तो मुख़्तसर भी हूँ
-Hafi-
Raatein Kisi Ki Yaad Main Kat-Ti hai
Or Din Mera Daftar Kha Jata Hai
Dil Jeene Par Mutawajja Hota Hai to Use Maut Ka Darr Kha Jata Hai
Sach Pucho To Arf Main Aise Dost Se Pareshan Hun
Milta Hai To Baat Hi Nahi Karta
Or Phone Par Sar Kha Jata Hai...
--------------------------------------------------------------------------
रातें किसी की याद मैं कट-ती है
और दिन मेरा दफ्तर खा जाता है
दिल जीने पर मुतवज्जा होता है तो
उसे मौत का डर खा जाता है
सच पूछो तो आरफ मैं ऐसे दोस्त से परशान हूं
मिलता है तो बात ही नहीं करता
और फोन पर सर खा जाता है...
तिलिस्म-ए-यार ये पहलू निकाल लेता है
कि पत्थरों से भी खुशबू निकाल लेता है
है बे-लिहाज़ कुछ ऐसा की आँख लगते ही
वो सर के नीचे से बाजू निकाल लेता है
-Hafi-
----------------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo mujhe kabhi Tootne na de
Zindagi se mujhe roothne na de
Har koi Chhod de sath mera
Wo apna haath chhutne na de
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo kahe mujhse Ghabrana mat
Jo kahe mujhse haar jana mat
Dard Milenge tumko hazaaro abhi
Aankho main aansu kabhi lana mat
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo mere haarne par bhi hath thaam le
Mere dil ka dard bina kahe pehchan le
Ho jaun gumnam main is duniya main
Lekin wo bohot pyaar se mera naam le
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
----------------xx------------------xx----------------xx---------------------
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो मुझे कभी टूटने न दे
ज़िन्दगी से मुझे रूठने न दे
हर कोई छोड़ दे साथ मेरा
वो अपना हाथ छूटने न दे
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो कहे मुझसे घबराना मत
जो कहे मुझसे हार जाना मत
दर्द मिलेंगे तुमको हज़ारो अभी
आँखों मैं आँसू कभी लाना मत
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो मेरे हारने पर भी हाथ थाम ले
मेरे दिल का दर्द बिना कहे पहचान ले
हो जाऊं गुमनाम मैं इस दुनिया मैं
लेकिन वो बोहोत प्यार से मेरा नाम ले
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
Hum apni zinadagi ki sabse badi galti un logo ko ehmiyat dekar karte hain
Jinki zindagi main humari koi Qadar nahi hoti...
Tum Haqeeqat nahi ho Hasrat ho
Jo Mile Khwab main wo daulat ho
Maine tumhare hi dum se zinda hun
Mar hi Jaun jo Tum se Fursat ho
Tum ho to Khushbu ke Khwab ki Khushbu
Aur Itni hi Be-Murawwat ho
Tum ho pehlu main par Qaraar nahi
Yani aisa hai jaise Furqat ho
Hai meri aarzoo ki mere siwa
Tumhe sab Shayaro se wehshat ho
Kis Tarah se Chhod dun tumhe jana
Tum meri zindagi ki aadat ho
Kis Liye Dekhti ho Aaina
Tum to khud se bhi Khubsurat ho
Daastan Khatam hone wali hai
Tum Meri Aakhri Muhabbat ho
----------------------------------------------------------------
تم حقیقت نہیں ہو حسرت ہو
جو ملے خواب میں وہ دولت ہو
میں تمہارے ہی دم سے زندہ ہوں
مر ہی جاؤں جو تم سے فرصت ہو
تم ہو تو خوشبو کے خواب کی خوشبو
اور اتنی ہی بے مروت ہو
تم ہو پہلو میں پر قرار نہیں
یعنی ایسا ہے جیسے فرقت ہو
کس طرح چھوڑ دوں تمہیں جاناں
تم میری زندگی کی عادت ہو
کس لیے دیکھتی ہو آئینہ
تم تو خود سے بھی خوبصورت ہو
داستاں ختم ہونے والی ہے
تم میری آخری محبت ہو
جون ---- Jaun
Jis Guldan ko tum aaj apna kehte ho,
Uska Phool kabhi Humara tha,
Wo jo Ab tum uske Mukhtaar ho to sun lo,
Use Achha nahi lagta!
Meri jaan ke haqdaar ho to sun lo,
Use Achha nahi lagta!
Ki wo jo zulf Bikhere to bikhri na Samajhna,
Agar mathe pe aa jaye to Befikri na Samajhna,
Dar-Asal Use aise hi Pasand hai,
Uski Aazadi, Uski Khuli Zulfon main Band hai,
Jante ho,
Wo agar Hazaar baar apni Zulfen na saware uska guzara nahi hota,
Waise dil bohot saaf hai uska in harkaton main koi ishara nahi hota,
Khuda ke waste use kabhi rok na Dena,
Uski Azaadi se use kabhi tok na dena,
Ab main nahi tum uske dildaar ho to sunlo,
Use Achha nahi lagta!
-Zakir-
#jashnerekhtaa #zakir #jashnerekhtaablogspot #Shayari