Friday, September 10, 2021

Muhabbat....

Muhabbat Or Ibadat 
Batayi Nahi Jaati
Bus Ki Jati Hai...
----------------------
मुहब्बत और इबादत
बतायी नहीं जाति
बस... की जाति है...






Samjhe....

Jo Hume Samjh Nahi Saka
Use Haq Hai
Hume Bura Hi Samjhe...

Guroor...

Log Kehte Hain
Main Bohot Guroor Karta Hun
Main To Bus Do Chehre Walo Ko 
Khudse Door Rakhta Hun...

Tum

Tum Kabhi Kbhi Yun Kiya Karo
Chhodo Meri Shayari
Dil Padh Liya Karo...
-------------------------------
तुम कभी कभी यूं किया करो
छोडो मेरी शायरी
दिल पढ़ लिया करो...

Dil...

Aye Dil 
Mat Kar Itni Muhabbat Kisi Se
Ishq Main Mila Dard Tu seh Nahi Payega
Toot Kar Bikhar Jayega Apno Ke Haatho Se
Kisne Toda Ye Bhi Kisi Se Keh Na Payega...

Rishta..

Sachhe Rishte Ki Khubsurti
Ek Dusre Ki Galtiyo Ko Sehan Karne Main Hai
Kyunki
Bina Kamiyo Ka Insaan Dhundhne Jaoge
To Zindagi Main Akele Reh Jaoge...

Koshish....

Bohot Koshish Ki Maine Usko Samjhane Ki
Fir Ek Roz Main Khudko Samjha Liya...

Qadar...

Jiski Qadar Karo 
Woh Waqt Nahi Deta
Aur Jise Waqt Do
Wo Qadar Nahi Karta...
----------------------
जिस्की क़दर करो

वो वक्त नहीं देता

और जिसे वक्त दो

वो क़दर नहीं करता...


Rishta

Kuch Ajib Sa Rishta Hai 
Uske Or Mere Darmiyan
Na Nafrat Ki Wajah Milti Hai
Na Muhabbat Ka Sila...
-------------------------------
कुछ अजिब सा रिश्ता है
उसके और मेरे दरमियान
ना नफ़रत की वजह मिलती है
ना मुहब्बत का सिला...

Talaash...

Kuch Adhuri Si Hai Hum Dono Ki Zindagi
Tumhe Muhabbat Ki Talash Hai
Mujhe Tumhari

कुछ अधूरी सी है हम दोनो की जिंदगी
तुम्हें मुहब्बत की तलाश है
मुझे तुम्हारी....

Wednesday, September 8, 2021

Khatam...

 

Kal Bichhdi Or Dekho Kitni Jaldi Uski Shaadi Ki Sari Rasm Ho Gayi

Hath Utre Mere Sir Se Or Nikah Name Pe Kisi Or Ki Qasm Ho Gayi

Or Ek Aakhri Aas Thi Uske Laut Aane Ki Yaaro Ke Kya Pata Wo Laut Aaye

Jab Bheji Uski Dulhan Wali Tasveer 

To Dekhte Hi Wo Aakhri Aas Bhi Khatam Ho Gayi

Haar Gaya...

 

Jis Pe Main Apni Jaan Dil Vaar Gaya

Usi Shakhs Se Muhabbat Main Haar Gaya

 

Tuesday, September 7, 2021

Alfaz

 Alfaz To Mere Har Koi Padta Hai

Tum

Ho Sake To Meri Khamoshi Padhna...

Tumhe...

Bhula Denge Tumhe Bhi

Zara Sabr To Karo

Tumhari Tarah Bewafa Hone Main

Thoda Waqt To Lagega...


Hum...

 Jo Koi Na Samjh Sake Wo Baat Hain Hum...

Jo Dhal Ke Nayi Subha Laye Wo Raat Hain Hum...

Chhod Dete Hain Log Rishte Bana Kar...

Jo Kabhi Na Chhute Wo Sath Hain Hum...

Waqt...


 

Monday, September 6, 2021

Hum..

Kya Farq Padta Hai
Asal Main Hum Kaise Hain
Jisne Jaisi Soch Banali
Uske Liye Hum Waise Hain...

Mera...

Rooh Meri
Ishq Tera

Jaan Meri
Jism Tera

Jannat Mile Pehlu Main Tere
Baahein Teri or Sukoon Mera...

Khwaab...

Raat Khwaab Main Humne Apni Maut Dekhi...
Itne Rone Walo Main Tum Nazar Nahi Aaye...

Ishq...

Wo Sajda hi kya
Jisme Sir Uthane Ka Hosh Rahe
Izhaar e Ishq Ka Maza To Tab Hai
Jab Main Khamosh Rahun...Or Tu Bechain Rahe...

Barsaat...

 

Rimjhim Barsati Barsaat Mein
Milane Jab Bhi Tum Aati Ho
Pani Ki Yeh Bondein Tum Par
Kyun Itna Sitam Mujh Per Dhati Ho

Jhoolti Hain Tumhare Balo Par
Palkon Par Attak Kahin Jaati Hain
Galon Ko Tumhare Chhute Hue
Gale Se Lipat Si Aati Hain
Najar Hamari Behakti Hai
Dil Ki Dhadkan Badh Jaati Hai
Bohat Jalta Hai Yeh Man
Boond Jab Tumahre Seene Mein Chhup Jaati Hai

Tadap Kar Jalta Hai Yeh Dil
Boond Ban Jaane Ko Man Karta Hai
Barish Ki Boond Ki Tarah
Tere Seene Se Lipat Jaane Ko Dil Karta Hai.

 

अलफ़ाज़...Alfaz

 

मेरी लिखी बात को हर कोई समझ नहीं पाता..,

क्योंकि में एहसास लिखता हूँ और लोग अलफ़ाज़ पढ़ते हैं…

-------------------------------------------------------------------------

Meri Likhi Baat Ko Har Koi Samaj Nahi Paata..,

Kyonki Mein Ehsaas Likhta Hoon Aur Log Alfaz Padhte Hain…

 

खुशबु...Khushbu

 

मेरे जिस्म से उसकी खुशबु आज भी आती है…

मैं ने फुर्सत में कभी सीने से लगाया था उसे..

-----------------------------------------------------------------

Mere Jism Se Uski Khushbu Aaj Bhi Aati He…

Main Ne Fursat Mein Kabhi Seeny Se Lagaya Tha Usay..

 

Husn...हुस्न

कांच सा जिस्म कहीं टूट न जाये,

हुस्न वाले तेरी अंगड़ाई से डर लगता है..

----------------------------------------------------------

Kaanch Sa Jism Kahin Toot Na Jaye,

Husn Waley Teri Angdayi Se Dar Lagta Hai..


Wada...वादा

 

करो फिर से कोई वादा ,कभी न फिर बिछड़ने का ….

तुम्हें क्या फरक पड़ता है चलो फिर से मुकर जाना …

-----------------------------------------------------------------------------------

Karo Phir Se Koi Wada ,Kabhi Na Phir Bichhadne Ka ….

Tumhein Kaya Faraq Padta Hai Chalo Phir Se Mukkar Jana …

 

Mohabbat....मोहब्बत

 

मोहब्बत.....

बोहत चुप चाप जज़्बा है,,

दबे पाँव ही चलता है...

मगर जो नक़्श इसके हैं,,

बोहत ही गहरे होते हैं...

उन्हें कहना नहीं पड़ता....

-------------------------------------

Mohabbat.....
Bohat Chup Chaap Jazba Hai,,
Dabay Paaon Hi Chalta Hai...
Magar Jo Naqsh Iske Hein,,
Bohat Hi Gehray Hote Hein...
Unhen Kehna Nahin Parta.....

Befikr...बेफिक्र

 इधर हम हैं कि कहते हैं, 

हमारी आरज़ू सुन लो 

उधर वो हैं के कहते हैं 

के सुन लेंगे, सुना देना..!!!

----------------------------------------------------------------------------

Idhar Hum Hain K Kehte Hain,

Hamari Aarzoo Sun Lo

Udhar Wo Hain Ke Kehte Hain

Ke Sun Lenge, Suna Dena..!!!

Anjaan...अन्जान

 

ऐसी भी बेरुखी  देखी है हमने. 

की लोग, 

आप से तुम तक, 

तुम से जान तक,

 फिर जान से अन्जान तक हो जाते हैं.

-----------------------------------------------------------

Aisi Bhi Be-Rukhi Dekhi Hai Humne.

Ki Log, 

Aap Se Tum Tak,

Tum Se Jaan Tak,

Phir JAAN Se Anjaan Tak Ho Jate Hain.

 

Woh...वो

Wo Kya Jaane Hamare Pyaar Ki Gehraai Ko...!

Hum Sath Hote Hain To Wafa Karte Hain

Aur


Jab Door Hote Hain To Dua Karte Hain...!

 ------------------------------------------------------------------------

वो क्या जाने हमारे प्यार की गहराई को...! 

हम साथ होते हैं तो वफ़ा करते हैं 

और 

जब दूर होते हैं तो दुआ करते हैं...!

Sunday, September 5, 2021

शायर...Shayar

 कितना मुश्किल होता है शायर होना 

दर्द की कोई इंतहा ना होना 

अपनी ही बर्बादियां  लिखना 

और 

वाह-वाह सुनना ....

---------------------------------------

Kitna Mushkil Hota Hai Shayar Hona

Dard Ki Intahaa Na Hona

Apni Hi Barbadiyan Likhna

Or

Wah-Wah Sunna...

Dost...दोस्त

बहुत दर्द देता है मेरा दर्द लिखना भी उन्हें 

जो लोग मुझे दिल से पसंद करते हैं 

माफ कर दिया करें दोस्तों मुझको 

बस हम तो कुछ दिल की तनहाइयों में 

अल्फाजों के रंग भरते हैं

----------------------------------------------------------

Bahut Dard Deta Hai Mera Dard Likhna Bhi Unhe

Jo Log Mujhe Dil Se Pasand Karte Hain

Muaf Kar Diya Kare Dosto Mujhko

Bus Hum To Kuch Dil Ki Tanhaiyon Main

Alfazon Ke Rang Bharte Hain...

खुदा...Khuda

 गुज़र गया वो वक्त भी जब तेरी हसरत थी मुझे ... 

अब तु खुदा भी बन जाएं..तो भी तुझे सज़दा ना करूं 

----------------------------------------------------------

Guzar Gaya Wo Waqt Jab Teri Hasrat Thi Mujhe

Ab Tu Khuda Bhi Ban Jaye To Bhi Tujhe Sajda Na Karun....

लिखते ...Likhte


ना लिखते हम तो कब के २ाख हो गए होते......

दिल के साथ - साथ रूह में भी सुराख हो गए होते.......!

----------------------------------------------------------------

Na Likhte Hum to Kabke Raakh Ho Gaye Hote...

Dil Ke Sath Sath Rooh Main Bhi Surakh Ho Gaye Hote...