Dil-Se-Dil-Tak
Thursday, May 21, 2020
Dua...
Mujhe Gham Diya
Mujhe Di Khushi
Mujhe Chot Di To Dawa Bhi Di…
Mujhe Dard Sehne Ke Waste
Mujhe Ishq Ho Ye Dua Bhi Di…
Dil...
Unki Sohbat Main Gaye
Sambhle Dobara Toote…
Hum Kisi Shakhs Ko
De De Ke Sahara Toote…
Ye Ajab Rasm Hai
Bilkul Na Samajh Aayi Hume...
Pyaar Bhi Humi Kare
Or Dil Bhi Humara Toote…
Nafrat...
Nafrat Karta To Ehmiyat Bad Jati Unki…
Maine Muaf Karke Unko Sharminda Kar Diya…
खाक...
न
मेरा
एक
होगा
,
न
तेरा
लाख
होगा
,
तारिफ
तेरी
,
न
मेरा
मजाक
होगा
,
गुरुर
न
कर
शाह
-
ए
-
शरीर
का
,
मेरा
भी
खाक
होगा
,
तेरा
भी
खाक
होगा...
Qaatil...
Inqalaab Ye Hai Ki Gazab Ka Hai Mera Qaatil…
Musibat Ye Hai Ki Usi Main Zindagi Nazar Aay Hai…
Manzar...
Rukhsat-E- Yaar Ka Manzar Bhi Kya Manzar Tha…
Humne Khudse Hi Khud Ko Bichadte Dekha Hai…
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)