Thursday, October 29, 2020

Koi Or Hai...

Tere Dil Ki Dhadkan Main Ishq Ka Hissa Banke Panapta Koi Or Hai....

Mere Chumne Pe Bhi Tere Sukhe Lab Tar Nahi Hote Lagta Hai Teri Pyaas Ka Dariya Koi Or Hai...

Teri Zulfo Ko Peeche Karke Jhumka Pehnane Ki Khwahish Thi To Bohot

Magar Tere Kaan Main Seek Ka Tinka Koi Or Hai...

Mere Bhookhe Rehne Ki Khabar Sunke Wo Khana Dhabe Se Le Aayi

Ab Samjha Tere Hath Se Bane Khane Ka Haqdar Koi Or Hai...

Or Meri Di Hui Ghadi Wo Bade Shauq Se Bandha Karti Hai...

Kalai Main To Hum Hai Magar Intezaar Main Koi Or Hai...

Or Ek Din Bechain Hokar Mere Shane Par Sir Rakh Kar So Gayi Thi

Kya Bataun Wo Qayamat Wali Raat Ka Qissa

Kandha Mera Tha Labon Par Koi Or Hai...

Tere Dil Ki Dhadkan Main Ishq Ka Hissa Banke Panapta Koi Or Hai...

Mere Chumne Pe Bhi Tere Sukhe Lab Tar Nahi Hote Lagta Hai Teri Pyaas Ka Dariya Koi Or Hai...

 

 


Monday, September 14, 2020

मोहब्बत

 ज़िंदगी में मोहब्बत का पौधा लगाने से पहले ज़मीन परख लेना,

हर एक मिटटी की फितरत में वफ़ा नहीं होती दोस्तो !!

Sunday, September 6, 2020

Chahat

Ek Umr Gawa Di Humne Chahat Main Tere... 

Bade Khushnaseeb Honge Tujhe Muft Main Paane Wale... 

Saturday, August 29, 2020

Nilaam

 Meri Aadat Yeh Buri Iss Qadar Aam Ho Gayi...

Dusron Ki Khushiyon Main Khud Ki Khushiyan Nilaam Ho Gayi...

Wednesday, August 12, 2020

Hoga...

Jo Bhi Uss Raat Bol Gaya
Shraab Ka Suroor Hoga...

Mujhe Chod Gaya Toh Kya Hua
Aadat Se Majboor Hoga...

Allah Qasam Yakeen Hai Marr Jaoge
Jo Humare Saath Kia...

Aapke Saath Bhi Zaroor Hoga...
Aapke Saath Bhi Zaroor Hoga...

Monday, June 22, 2020

Rishta


Aaj Gumnam Hun To Fasla Rakh Mujhse...
Kal Fir Mashoor Ho Jaun To Koi Rishta Nikaal Lena...
-Iqbal

Thursday, May 21, 2020

Dua...


Mujhe Gham Diya
Mujhe Di Khushi
Mujhe Chot Di To Dawa Bhi Di…

Mujhe Dard Sehne Ke Waste
Mujhe Ishq Ho Ye Dua Bhi Di…

Dil...


Unki Sohbat Main Gaye
Sambhle Dobara Toote…

Hum Kisi Shakhs Ko
De De Ke Sahara Toote…

Ye Ajab Rasm Hai
Bilkul Na Samajh Aayi Hume...

Pyaar Bhi Humi Kare
Or Dil Bhi Humara Toote…

Nafrat...


Nafrat Karta To Ehmiyat Bad Jati Unki…
Maine Muaf Karke Unko Sharminda Kar Diya…

खाक...

न मेरा एक होगा , न तेरा लाख होगा,
तारिफ तेरी ,न मेरा मजाक होगा,

गुरुर न कर शाह-ए-शरीर का,
मेरा भी खाक होगा , तेरा भी खाक होगा...

Qaatil...


Inqalaab Ye Hai Ki Gazab Ka Hai Mera Qaatil…
Musibat Ye Hai Ki Usi Main Zindagi Nazar Aay Hai…

Manzar...


Rukhsat-E- Yaar Ka Manzar Bhi Kya Manzar Tha…
Humne Khudse Hi Khud Ko Bichadte Dekha Hai…

Friday, April 24, 2020

देखा है !!!

मैंने .. हर रोज .. जमाने को .. रंग बदलते देखा है ....!!!

उम्र के साथ .. जिंदगी को .. ढंग बदलते देखा है .. !!!

वो .. जो चलते थे .. तो शेर के चलने का .. होता था गुमान..!!!

उनको भी .. पाँव उठाने के लिए .. सहारे को तरसते देखा है !!!

जिनकी .. नजरों की .. चमक देख .. सहम जाते थे लोग ..!!!

उन्ही .. नजरों को .. बरसात .. की तरह  रोते देखा है .. !!!

जिनके .. हाथों के .. जरा से .. इशारे से .. टूट जाते थे ..पत्थर ..!!!

उन्ही .. हाथों को .. पत्तों की तरह .. थर थर काँपते देखा है .. !!!

जिनकी आवाज़ से कभी .. बिजली के कड़कने का .. होता था भरम ..!!!

उनके .. होठों पर भी .. जबरन .. चुप्पी का ताला .. लगा देखा है .. !!!

ये जवानी .. ये ताकत .. ये दौलत  सब कुदरत की .. इनायत है ..!!!

इनके .. रहते हुए भी .. इंसान को  बेजान हुआ देखा है ... !!!

अपने .. आज पर .. इतना ना .. इतराना  मेरे .. यारों ..!!!

वक्त की धारा में .. अच्छे अच्छों को ~~ मजबूर हुआ देखा है .. !!!

कर सको..तो किसी को खुश करो...दुःख देते ...हुए....तो हजारों को देखा है ।।।

Saturday, April 11, 2020

मर गया...

खुद्दार मेरे शहर में फाक़े से मर गया,

राशन तो मिल रहा था पर,वो फोटो से डर गया

खाना थमा रहे थे लोग सेल्फी के साथ साथ ,

मरना था जिसको भूख से, वो गैरत से मर गया

Friday, April 3, 2020

Matlab...

Matlab Nikal Gayā Hai To Pahchānte Nahīñ

Yuuñ Jā Rahe Haiñ Jaise Hameñ Jānte Nahīñ

Apnī Ġharaz Thī Jab Tū Lipatnā Qubūl Thā

Bāñhoñ Ke Dā.Ere Meñ Simatnā Qubūl Thā

Ab Ham Manā Rahe Haiñ Magar Mānte Nahīñ

Ham Ne Tumheñ Pasand Kiyā Kyā Burā Kiyā

Rutba Hī Kuchh Buland Kiyā Kyā Burā Kiyā

Har Ik Galī Kī Ḳhaak To Ham Chhānte Nahīñ

Muñh Pher Kar Na Jaao Hamāre Qarīb Se

Miltā Hai Koī Chāhne Vaalā Nasīb Se

Is Tarah Āshiqoñ Pe Kamāñ Tānte Nahīñ

-Sahir

 


FARQ HAI...

Pyar Hona… Pyar Karna

Farq Hai…

Dil Ka Lagna… Dil Lagana

Farq Hai…

Aur Aise Jaoge Mujhe Chod Kar Tum

Toot Jana… Tod Dena

Farq Hai…

Lazim Hai Ye Amal Chodoge Kaise

Yaad Ana… Yaad Karna

Farq Hai…


Saturday, March 28, 2020

ज़रूरत क्या है...

बेवजह घर से निकलने की ज़रूरत क्या है |
मौत से आंख मिलाने की ज़रूरत क्या है |

सबको मालूम है बाहर की हवा है क़ातिल |
यूँ ही क़ातिल से उलझने की ज़रूरत क्या है ||

ज़िन्दगी एक नियामत, इसे सम्हाल के रख |
क़ब्रगाहों को सजाने की ज़रूरत क्या है ||

दिल बहलने के लिए घर मे वजह हैँ काफ़ी |
यूँ ही गलियों मे भटकने की ज़रूरत क्या है ||

मुस्कुराकर, आंख झुकना भी अदब होता है |
हाथ से हाथ मिलाने की ज़रूरत क्या है ||

लोग जब हाथ मिलाते हुए कतराते हों |
ऐसे रिश्तों को निभाने की ज़रूरत क्या है ||

Mera Yaar Aisa Hai


Thursday, March 19, 2020

Ajab...

अजब अपना हाल होता जो विसाले-यार होता 
कभी जान सदक़े होती!कभी दिल निसार होता! 
 
ये मज़ा था दिललगी का, कि बराबर आग लगती! 
न तुझे क़रार होता! न मुझे क़रार होता! 

न मज़ा है दुश्मनी में! न है लुत्फ़ दोस्ती में! 
कोई ग़ैर ग़ैर होता!  कोई यार यार होता! 

तेरे वादे पर सितमगर! अभी और सब्र करते 
अगर अपनी ज़िंदगी का, हमें ए'तिबार होता!

जो तुम्हारी तरह तुमसे, कोई झूठे वादे करता 
तुम्हीं मुंसिफ़ी से कह दो, तुम्हें ए'तिबार होता! 

ये वो दर्दे-दिल नहीं है, कि हो चारासाज़ कोई! 
अगर एक बार मिटता, तो हज़ार बार होता!

~दाग़

Main...

जिंदा जलते हैं अरमान जहां
.
.
.
हां ... मैं वही श्मशान हूं ......

Naseeb...


Jane Kya Likha Hai Naseeb Main Mere

Main Ishq Tumse Karta Hun
Main Ibaadat Tumhari Karta Hun
Main Wafa Tumse Karta Hun

Magar Tab Bhi Tumhe Main Hi Galat Lagta Hun…

Shikayat...


Nahi Humko Shikayat Ab Kisi Se
Bus Apne Aap Se Roothe Hue Hain…

Ba-Zahir Khush Hai Lekin Sach Bataye
Hum Andar Se Bohot Toote Hue Hain…

Tum...

Jab Kaanch Uthaana Pad Jaaye,
Tum Haath Hamara Le Jana,

Jab Samjho Ki Koi Saath Nahi,
Tum Saath Hamara Le Jana,

Jab Dekho Ki Tum Tanha Ho,
Aur Raaste Hain Dushwar Bahut,

Tab Hum Ko Apna Keh Dena,
Bebaak Sahara Le Jana.

Jo Baazi Bhi Tum Jeetoge,
Jo Manzil Bhi Tum Paaoge,

Hum Paas Tumhare Ho Na Ho,
Ehshaas Hamara Le Jana.

Jab Yaad Hamari Aayegi,
Tum Paas Hamare Aa Jana,

Ek Muskurahat De Jana,
Tum Jaan Hamari Le Jana.

Ishq...


Ishq Tere Baad Kisi Se Hua Hi Nahi
Jism Lekar Aaye The Bohot
Par Teri Qasam Kisi Ko Chua Hi  Nahi…

Waledain...


Kabhi Maa Baap Ki Yaad Aaye To Behan Bhai Milkar Baitha Karo
Kisi Ke Chehre Pe Maa Muskurati Nazar Aayegi Kisi Ke Lehze Main Baap…

Sach...


Tu Khush Hai Mere Bagair Isme Galat Kuch Nahi
Main Khush Hun Tere Bagair Isme Sach Kuch Nahi…

Tujhe Chaha Tha Or Chahta Rahunga Ye Sach Hai
Lekin Ab Sirf Tujhe Hi Chahunga Ye Sach Nahi…

Wednesday, March 18, 2020

Kuch Bhi...


Kuch Bhi Ho Khuda Par Koi Shayar Na Bane…

Apni Hi Muhabbat Jeeni Pade Kagaz Ke Sahare

Itna Bhi Koi Kayar Na Bane…


Main...


Baith Jata Hu Mitti Pe Aksar……
Kyuki Mujhe Apni Aukat Acchi Lagti Hai……
Maine Samandar Se Sikha Hai Jeene Ka Salika….
Chup Chap Se Behna Aur Apni Mouj Me Rehna…..
Aisa Nahi Hai Ke Mujhme Koi Aeib Nahi Hai…
Par Sach Kehta Hu
Mujhme Koi Faraib Nahi Hai…..

Jal Jaate Hai Mere Andaz Se Mere Dushman…..
Kyu Ki Ek Muddat Se Maine Na Mohabbat
Badli Aur Na Dost Badle…..
Ek Ghadi Khareed Kar Haath Me Kya Baandhi….. Waqt Peeche Hi Padgaya Mere…..

Sonchta Tha Ghar Bana Kar Rahunga Sukun Se……
Par Ghar Ki Zarurato Ne Musafir Bana Dala…..
Sukun Ki Baath Mat Kar Ae Ghalib…..
Bachanpan Wala Itwar Ab Nahi Aatha….
Shouk Tho Maa Baap K Paiso Se Pure Hote Hai…..
Apne Paiso Se Tho Bas Zarurate Hi Puri Ho Pati Hai….. Zindagi Ki Bhag Daur Me Kyu Waqt K Saath Rangat Kho Jati Hai……
Hasti, Khelti, Zindagi Bhi Aam Hojati Hai……
Ek Sawera Tha Jab Haske Uthte The Hum……
Aur Aaj Kai Baar
Bina Muskurai Hi Shaam Hojati Hai…..

Kitne Dur Nikalgaye
Rishto Ko Nibhate Nibhate….
Khud Ko Khodiya Humne Apno Ko Paate Paate….
Log Kehte Hai Hum Muskurate Bohot Hai….
Aur Hum Thak Gaye Dard Ko Chupate Chupate…
Khush Hu Aur Sab Ko Khush Rakhne Ki Koshish Kartha Hu….
Laaparwa Hu Phir Bhi Sab Ki Parwa Kartha Hu….. Malum Hai Koi Mol Nahi Mera….
Phir Bhi Kuch Anmol Logo Se Rishte Rakhta Hu…..
Bait Jata Hu Mitti Pe Aksar….
Kyu Ke Mujhe Apni Aukat Acchi Lagti Hai…

-H.R. Bachhan



Khudse...


Kabhi Kabhi Mera Khud Se Milne Ka Ji Karta Hai

Kafi Suna Hai Maine Apne Bare Main…

Gunah...

Koi Us Shakhs Sa Duniya Me Kahan Hota Hai
Laakh Chehron Main Jisay Dil Ne Chuna Hota Hai...
Ham To Us Mor Pay Aa Pohonchay Hain Muhabbat Main Jahan
Dil Kisi Kisi Aur Ko Chahay To Gunnah Hota Hai...

کوئی اس شخص سا دنیا میں کہاں ہوتا ہے
لاکھ چہروں میں جسے دل نے چنا ہوتا ہے
ہم تو اس موڑ پہ آ پہنچے ہیں محبت میں جہاں
دل کسی اور کو چاہے تو گناہ ہوتا ہے

Kya Ishq...


Tujhse Bichad Kar Mar Jate To…Kya Ishq
Kisi Or Ke Ho Jate To…Kya Ishq

Sochti Ho Bohot Khush Hai Hum Tumhare Bina
Jo Tum Hi Na Samajh Pao To…Kya Ishq

Kaun...


Kaun Kehta Hai Ishq Mazhab Dekhta Hai Kisi Ki Jaat Dekhta Hai …
Isme Sare Pehlu Baad Main Aate Hain
Pehle Aapke Haalat Or Aapki Auqaat Dekhta Hai…

Wo...


वो पूछते है हमसे कितना कस कर गले लगा सकते हो अपनी मोहब्बत को…
मैंने कहा इतना की पसीना भी रास्ता भूल जाये…


Tuesday, March 17, 2020

Kya Karun...


Kya Karun Aisa Ke Tum Meri Ho Jao…

Konse Masjid Main Karu Sajde
Konse Mandir Main Matha Tek Aaun…

Konse Ped Se Bandhu Dhage
Konse Kuen Main Mannat Mange Naam Likh Tera Fek Aaun…

Or Ek Roz Baje Mere Ghar Ke Darwaze Ki Ghanti
Tum Kichan Se Kaho
Khali Ho To Dekh Lo Ya Main Dekh Aaun…



Majboor...


Use Apne Se Door Kar Diya Hai
Taki Mere Apne Mujhse Door Na Ho…

Kuch Bhi Ho…
Bus Ishq Main Koi Aise Majboor Na Ho…

Bohot Pehle...


Yahi Apni Kahani Thi Miyan Pehle Bohot Pehle
Wo Ladki Jaan Hamari Thi Miyan Pehle Bohat Pehle…

Gar Uski Yaad Me Hi Shair Saare Ho Rahe Hain To
Wo Hum Ko Yaad Aati Thi Miyan Pehle Bohat Pehle…


Raqeeb Aa Kar Batate Hain Yahan Til Hai Wahan Til Hai
Ye Hum Ko Jaankari Thi Miyan Pehle Bohat Pehle…



Mujhe...


Bahon Main Apni Sama Lo Mujhe
Is Buri Nazar Ki Duniya Se Bacha Lo Mujhe…

Main Sirf Tumhara Hokar Rehna Chahta Hun
Ek Kaam Karo Na Dekar Ek Arzi Adaalat Main
Apne Naam Kara Lo Mujhe…

Galat...


कुछ मर्दों की वजह से सबको गलत ठहरना भी सही नहीं होता,
और किसी के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..

कोई उड़ाए अगर मजाक किसी का तो वो अक्सर टोक देता है..
तुम्हारे घर में भी तो माँ बहने है, ये कहकर रोक देता है..
छोड़ देता है वो रास्ता अक्सर लड़की के लिए,
जी हाँ हर कोई रास्ता रोकने वाला नहीं होता..
और किसी के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..

जिंदगी को कैसे जीना है ये भी उसे बखूभी आता है..
और दोस्तों के साथ पार्टी करने तो वो भी जाता है..
पर आदत है उसे माँ बाप के साथ खाना खाने की,
इसलिए वो कभी घर आने में लेट नहीं होता..
और जी हाँ किसी के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..

अपनी जिम्मेदारियों से वो कभी भागता नहीं है..
और मुसीबत के समय हिम्मत हारता नहीं है..
दफ़न कर देता है वो अपने अरमानो को सबकी ख़ुशी के लिए,
हर लड़का बाप की दौलत पर ऐश करने वाला नहीं होता..
और किसी के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..

इश्क़ की दुनिया में भी वो बड़ा ईमानदार होता है..
और अपने इश्क़ की हिफाज़त के लिए वो सबसे जानदार होता है..
और अक्सर ढक देता है वो दुपट्टे से अपनी मोहब्बत को,
क्यूंकि हर लड़का इश्क़ में दुपट्टा हटाने वाला नहीं होता..
और कुछ लोगो के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..

कुछ मर्दों की वजह से सबको गलत ठहरना भी सही नहीं होता,
और किसी के कह देने भर से हर लड़का बुरा नहीं होता..