Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo mujhe kabhi Tootne na de
Zindagi se mujhe roothne na de
Har koi Chhod de sath mera
Wo apna haath chhutne na de
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo kahe mujhse Ghabrana mat
Jo kahe mujhse haar jana mat
Dard Milenge tumko hazaaro abhi
Aankho main aansu kabhi lana mat
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
Jo mere haarne par bhi hath thaam le
Mere dil ka dard bina kahe pehchan le
Ho jaun gumnam main is duniya main
Lekin wo bohot pyaar se mera naam le
Haan Mujhko Ek Aise Sath Ki Zaroorat Hai...
----------------xx------------------xx----------------xx---------------------
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो मुझे कभी टूटने न दे
ज़िन्दगी से मुझे रूठने न दे
हर कोई छोड़ दे साथ मेरा
वो अपना हाथ छूटने न दे
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो कहे मुझसे घबराना मत
जो कहे मुझसे हार जाना मत
दर्द मिलेंगे तुमको हज़ारो अभी
आँखों मैं आँसू कभी लाना मत
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
जो मेरे हारने पर भी हाथ थाम ले
मेरे दिल का दर्द बिना कहे पहचान ले
हो जाऊं गुमनाम मैं इस दुनिया मैं
लेकिन वो बोहोत प्यार से मेरा नाम ले
हाँ मुझको एक ऐसे साथ की ज़रुरत है
No comments:
Post a Comment